24 Houres Mein 27 Baar Heart Attack, Ba’himmat Mareez Sahet’yab

24 Houres Mein 27 Baar Heart Attack, Ba’himmat Mareez Sahet’yab24 Houres Mein 27 Baar Heart Attack, Ba’himmat Mareez Sahet’yab

Bartanwi shehri 24 ghantay mein 27 baar dil ka dora parney ke bawajood zindagi ki jung jeetnay mein kamiyab raha. Is anhoni ko 6 maahir Therapists qalb neh honi banaya.

Medical science ka yeh anokha waqiya jo kisi moajeze se kam nahi, Bartania mein paish aaya.

Jahan 52 sala Wood Hall ko 24 ghantay mein 27 baar dil ke doray jaisay moozi hamlay se guzerna para. Lekin maahir doctors ki mojoodgi aur behtareen tib’bi sahuliyaat ke baa’is woh sahet yab rahay.

Wood Hall ko pehla attack is waqt howa jab woh qareebi playground mein footbaal khail rahay the. Aur zameen par gir jaane ke baad inhen Worcestershire Royal Hospital muntaqil kiya gaya.

Jahan un ki dil ki ragon mein do assistant daley gaye. Ta key khoon ravani barqarar rahay.

Taham abhi woh hospital mein zair-e ilaaj hi the ke ek ke baad ek 26 martaba dil ke doray par’re. lekin 6 maahir Therapists ki team ne un ki sakht nighdasht jari rakhi. Aur Bar waqt ilaaj honay ke baa’is woh khatray se bahar nikal aeye.24 Houres Mein 27 Baar Heart Attack, Ba’himmat Mareez Sahet’yab

Go ke abhi mukammal sahet yabi taq mazid 6 mahinay ka waqt darkaar hai.

Wood Hall ne BBC ke program ‘Five Live’ mein guftagu karte howe kaha ke.

‘dil ke musal’sal 27 doray parney par mujhe bas itna mehsoos howa ke mein gehri neend so gaya hon. Hosh aney par nurse ne bataya ke aap soye nahi the balkay ap to taqreeban mar chuke the. Lekin hum ne aap ko jaane nahi diya.’

Apni noi’yat ke is munfarid waqeye ne saabit kardiya hai ke. ‘agar bar waqat aur behtareen ilaaj miley. to dil ke doray jaisay jaan lewa hamlay ke baad bhi mareez sahet yab ho sakta hai.’

Comments

comments

Check Also

Amir Family and maryam nawaz

Maryam Nawaz, chief minister of Punjab, steps in to address allegations of inappropriate behavior by Aamir’s family in the PSL.

Introduction to the Incident Maryam Nawaz controversy in PSL: The event that occurred between Mohammad …