Bandaron Ka Qatal

Bandaron Ka Qatal
Bandaron Ka Qatal

Japan ke ek Zoo mein, 57 bandaron mein ghair mamooli hamla aawar Genes ki mojoodgi ke inkishaaf ke baad inhen zeher alood injunction day kar halaak kardiya gaya.

Japan ke shehar Chiba mein waqay is Zoo mein un bandaro ka DNA test kiya gaya. Jis mein inkishaaf howa ke ye bandar dogli nasal ke hain. Aur un mein paye janey walay Genes un Genes se mukhtalif hain, jo un jaisay deegar bandaro ke hain.

Macaques Nami ye bandar sadiyon se Japan ki sarzamen par mojood hain. Aur yeh Japan ke ilawa kahin aur nahi paye jatay. Doosri janib Japan mein un bandaro sameit deegar muqami-o-munfarid hayatiati aqsam ki hifazat ke liye dogli nasal ke janwaron ki afzaish par pabandi aed hai.

Dogli nasal ke kayi janwaron ko is se qabal bhi halaak kiya ja chuka hai.

Japani mahireen hayaatiyaat ke mutabiq dogli nasal ke janwar muqami jungli hayaat ke liye khatarnaak saabit hotay hain. Yeh aksar auqaat tashadud pasand nikal atay hain jin se khaas tor par kamiyaab janwaron ki nasal ke khatmay ka khadsha hota hai.
Bandaron Ka Qatal Bandaron Ka Qatal

Zoo ki intizamia ney un bandaro ko halaak karne par afsos aur dukh ka izhaar kiya. Aur un ki baqaida aakhri rasomaat bhi munaq’qid ki gayeen. Taham un ka kehna hai ke is terhan ke mukhtalif Genes ke janwaron ko khatam karna zurori hai. Taakay deegar jungli hayaat mehfooz rahay.

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …