Cheen ne America ko warning daydi

Beijing: America ke tayyarah bardaar samandari jahaaz USS Carl Wilson ne janoobi bahera cheen mein operation ka aaghaz kardiya hai.

Cheeni wizarat kharja ke tarjuman Geng Shuang ne America ko khabardaar karte hue kaha tha ke ”Hum America par zor dete hain ke woh koi aisa qadam nah uthaye jis se cheen ki khud mukhtari aur security challenge hoti ho.” cheen janoobi bahera cheen par apni milkiat ka daawa karta hai aur is ka baaz aisay jazero par bhi daawa hai jin par kayi dosray mulk bhi milkiat ka daawa karte hain.

Mojooda Amrici saddar Donald Trump ne cheen ke baare mein qadray sakht muaqqaf apnaya hai taham white house ke mutabiq woh jazair jo haqeeqat mein bain al aqwami paanion mein hain aur cheen ka baqaida hissa nahi hain, wahan bain al aqwami mafadaat ke tahaffuz ko yakeeni banaya jaye ga.

Yaad rahay ke Amrici wazeer difaa ne haal hi mein apne dora Japan ke douran kaha tha ke Trump intizamia ki janib se fil haal is khittay mein kisi dramayi fouji iqdaam ka koi iradah nahi hai. Cheen guzashta kayi baras se is khittay mein masnoi jazeera taamer kar raha hai.

Wazeh rahay ke aakhri baar is ilaqay mein Amrici tayyarah bardaar jahaaz 2 baras qabal Malaysia ke sath honay wali behria aur fazaiya ki mashqon ke douran aaya tha jabkay majmoi tor par Amrici behri jahazoo ne is khittay mein ab taq 16 baar safar kya hai. Is behri jahaaz ko jungi tayyaron ki muawnat bhi haasil hai taham kuch roz qabal hi cheen ki wizarat kharja ne khittay mein cheen ki hakmiyat ko challenge karne par America ko khabardaar kya tha aur is bayan ke chand din baad hi Amrici behri bairay ki taenati amal mein aayi hai.

Comments

comments

Check Also

After being arrested late at night, anchorperson Imran Riaz was sent to jail on a cheating charge.

Friday said that Imran Riaz, an anchor discovered cheating yesterday night, will be Imran Riaz …