China Ka Space Station Tay’yar

space stationBeijing: 2022 mein khalaa mein taa’meer honay walay Space station ke hawalay se China ne tayari mukammal karli. Reports ke mutabik China se March ke mahinay mein satellite lanch center se rocket khalaa mein bheja jayega.

Ghair mulki media ke mutabiq. China rawan saal April mein apna pehla cargo khalayi jahaaz lanch kre ga. Mahireen ke mutabiq 2022 mein khalaa mein qayam honay walay Space station ki janib ye pehla qadam hai.

China ke saddar Si Jin Ping ka kehna hai ke. ‘riyasat ki salamti aur difai aitbaar se mustahkam karne ke liye ye iqdaam karne ki bohat zaroorat thi. Unhon ney khalayi program ko mazeed agay barhaane ko tarjeeh di aur is hawalay se Hidayat jari ki.’

China taweel arsay se Space station ke qayam ki koshishon mein masroof hai. Is ki koshish hai ke wo kisi bhi soorat mein apne mission ko poora kar le.

Is hawalay se us ney guzishta saal October mein 2 khalaa baz bhi beje they. Wahan unhon ney khalayi laboratory ke qiyam ki mansoobah saazi ki thi.

Khalayi jahaaz mein samaan ke 6 ton wazan taq ka jabkay 2 ton taq ka fuel leja sakta hai. Aur ye jahaaz 3 mahiney taq baghair pilot parwaaz kar saktay hain.

China ney daawa kiya hai ke is iqdaam ke baad America aur Russia jaisay taraq’qi yafta mumalik peechay reh jayen ge.

Yaad rahay ke 2013 mein China se talluq rakhnay wala khlabaz chaand par jaaney ke liye khalayi safar per gaya tha, taham usay bohat si technical mushkilaat ka saamna karna para tha.

American mehakma difa ney China ki barhti howi khalayi salahiyaton ko ujagar karte howe khadsha zahir kiya hai ke China ka ye iqdaam dosray mumalik ki khalayi sar garmiyon mein rukawat ka baa’is ban sakta hai.

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …