Duniya Bhar Ke Riwaye’ti Libaas

Duniya bhar mein Libaas Saqafat-o-riwayaat ka hissa hotay hain. Jadeed daur ke sath libaas mein kayi tabdeelian aati hain. Lekin riwaye’ti libaas ki jagah koi nahi le sakta.

Pakistan mein bhi khaas tor par sindhi, blochi libaas bohat khobsorat hotay hain. Aur inhen riwaye’ti tehwaron ke mauqa par bohat shoq se pehna jata hai.

Ai’ye duniya bhar ke riwaye’ti libason par ek nazar daaltay hain.

Spain:

Spain ka riwaye’ti libaas “Flamenco” hai. Ghair daar Frock jaisa yeh libaas Red, Black, aur White Color mein hota hai.

Norway:

Norway ka riwaye’ti libaas ‘Bunad’ hai. Shuru mein sirf dihaton mein usay istemaal kya jata tha. Lekin jadeed fashion ke baad ab yeh shehron mein bhi istemaal hota hai Al-bata ye mehanga hota hai.

Turkey:

Turkey ki Saqafat Europe, Arabic aur Yonani Saqafat ka majmoa hai. Is ka riwaye’ti libaas “Shalwar aur Ontario” kehlata hai.

Indonesia:

Indonesia ka riwaye’ti libaas ‘Kebaya’ kehlata hai.

China:

China ki qadeem tareekh ke paish-e-nazar is ke har daur mein libaas badaltey rehtay hain. Is ka ek libaas ‘hanfu’ hai jabkay dosra ‘qípáo’ kehlata hai.

Afghanistan:

Gehray rangon se muzay’yan Afghanistan ka riwaye’ti libaas “Frock Pashtun” kehlata hai.

Russia:

Russia ka riwaye’ti libaas Irani milawat ke sath ‘Sarafan’ kehlata hai.

Comments

comments

Check Also

Former ICC Elite Umpire Asad Rauf Passes Away

Asad Rauf, a Pakistani umpire, died dead. Asad Rauf played first-class cricket for Pakistan and …