ICC se full members ki badshahat khatam karne ka faisla

Dubai: ICC se full members ki badshahat khatam karne ka faisla karliya gaya jis ke baad har paanch baras baad review hoga, funds ka mukammal hisaab bhi liya jaye ga.

Big three ke khatmay ke sath hi muddaton se ICC ko ‘Club’ banaye rakhnay walay full membraan ki badshahat bhi khatam honay ke qareeb hai. ICC governance working group ki tajweez tamam member boards ko arsaal kar di gayi, jis mein yeh wazeh kya gaya hai ke ab full membership sab ke liye open hogi, affiliate darja khatam karkay sirf 2 membership full aur associates baqi rakhi jayen gi, full members ka har paanch jabkay associates ka 2 baras baad jaiza liya jaye ga, khaas tor par yeh dekha jaye ga ke council ki janib se faraham kiye funds kaisay kharch kiye gaye.

Doosri janib email mein kaha gaya ke full member stats ab hamesha rehne wala nahi hai, muqarara miyaar par poora nah utarnay walay full member ko membership committee ki sifarish par associates member banadiya jaye ga. Isi terhan ICC ke executive board ko 15 directors taq phelaya jaye ga jis mein 10 full member boards sarbrahan, 3 associates chairman, aik ICC chairman aur aik ghayr-jaanibdaar director mojood hoga, sab ko vote ka haq haasil hoga, kisi bhi muamlay ki manzoori keliye haq mein kam se kam 10 vote aana zurori hoga.

Ilawa azeen aik aur sifarish bhi ki gayi hai ke darkhwast par kisi bhi muamlay ki khufia raye shumari bhi karai jana chahiye, is se kisi aik board ke dosray ko majaboor karne ya dhons dhamki se kaam chalanay se rokna mumkin hoga.

 

Comments

comments

Check Also

PSL

Trophy for PSL season nine revealed in Lahore

The Pakistan Cricket Board (PCB) announced on Tuesday that the trophy for the ninth Pakistan …