Karachi kings ne Peshawar Zalmi ko sansani khaiz muqablay ke baad shikast daydi

Sharjah: Pakistan super league ke 13th match mein karachi kings ny sansani khaiz muqablay ke baad Peshawar Zalmi ko 9 runs se shikast day di.

Sharjah cricket ground mein khailay gaye match mein karachi kings ne pehlay batting karte hue Peshawar Zalmi ko jeet ke liye 175 runs ka hadaf diya. Hadaf ke taqub mein Sammy eleven ki janib se Tamim Iqbal aur Kamran Akmal ny pur aetmaad andaaz mein inning ka aaghaz kya lekin 32 ke majmoi score par Kamran Akmal 14 runs bana kar Sohail Khan ka shikaar banay jab ke Tamim Iqbal bhi aik runs ke izafay ke baad Sohail Khan ki gaind par catch thama baithy. Peshawar Zalmi ke middle order batsman Iftikhar Ahmed ko Imad Wasim ny apna shikar banaya aur Morgan bhi 3 runs banakar pavilion lout gaye jab ke Sohaib Maqsood 5 runs par Usman Khan ke hathon out hue. Peshawar Zalmi ke Shakib Al Hasan 18 runs par Usman Khan ki gaind par Boparah ko catch day baithy.

Match is waqt dilchasp soorat e haal ikhtiyar krgya jab Zalmi ke captain Sammy aur Shahid afridi ny ground ke charon atraaf shandaar strokes khailay aur satwen wicket par dono ballay bazo ny 70 runs ki shiraakat qaim ki taham 139 ke majmoi score par Sammy 34 runs bana kar Shahid afridi ka sath chor baithy jis ke baad Zalmi ki match par girift kamzor honay lagi lekin Shahid afridi ny jarehana andaaz apnaye rakha 54 runs bana kar pavilion lout gaye. Wahab Riaz 2 aur Husn Ali 10 runs banakar out hue.

Karachi kings ki janib se Sohail Khan , Usman Khan ny 3, 3 aur Osama Meer ny 2 khiladion ko pavilion ki raah dikhaay jab ke Imad Wasim aur Shoaib Malik ny aik aik wicket haasil ki.

Is se qabal match mein Peshawar Zalmi ke captain Sammy ny toss jeet kar pehlay Karachi kings ko batting ki dawat di to Babar Azam aur captain Sangakara ny inning ka jarehana aaghaz kya aur dono ballay bazo ny pehli wicket par 72 runs ki shiraakat qaaim ki to Babar Azam 28 gaindon par aik chhakay aur 6 chowkon ki madad se 46 runs bana kar pavilion lout gaye. Sangakara 28, Chris Gayle 11 aur Ravi Bhopara 30 runs bana kar out hue jab ke Shoaib Malik ny shandaar batting ka muzahira karte hue 27 gaindon par 3 chakkon aur 4 chowkon ki madad se 51 runs ki not out inning kheli. Peshawar Zalmi ki janib se Iftikhar Ahmed ny 2, Shakib Al Hasan aur Imran Khan ny aik aik wicket haasil ki.

Comments

comments

Check Also

PSL

Trophy for PSL season nine revealed in Lahore

The Pakistan Cricket Board (PCB) announced on Tuesday that the trophy for the ninth Pakistan …