Kiya 100BC Mein Laptop Mujood Tha?

ORACLE STUTUEHazaron saal qabal yonani “Laptop” istemaal karte the?

Kiya aap samajte hain ke Laptop abhi haal hi ki ijaad hai. Aur pehla Laptop 1971 mein banaya gaya tha. Kuch mahireen ke khayaal mein aaj se hazaron saal qabal yonani Laptop ka istemaal karte rahay hain.

Mahireen ka khayal hai ke yunan aur misar ke log science ke maidan mein hum se hazaro gunah agay the. Aur apnay is daaway ka woh tareekhi hawala jaat ke zariye saboot bhi dete hain.ORACLE STUTUE

Yunan se talluq rakhnay walay so saal qabal maseeh ke ek mujasmay ne tareekh daano mein behas ka ek naya baab khol diya hai.

Metaphysical mahireen ka kehna hai ke is mujasmay mein khatoon ko dekha ja sakta hai ke wo apne haath mein ek Laptop liye howe hai.
Morkhin is baat par bazid hain ke tasweer mein nazar aney walay mujasmay ke haath mein Laptop nahi. Balkay ye cheez ya to koi jewellery box hai ya phir momi takhti. Jisay qadeem yunan ke log apni tahreerein likhnay ke liye istemaal kiya karte the.
Wo mahireen jo is baat par yaqeen rakhtay hain ke dour-e-qadeem ka insaan hum se ziyada taraqqi yafta tha. Wo Dala’el dete hain ke ye cheez dar-haqeeqat ek Laptop hi hai. Jabhi is ki side mein 2 sorakh mojood hain. Jo ke yaqeenan USB port ya aisa hi kisi device ke liye istemaal kiye jatay hon ge.

Un ka kehna hai ke is mujasmay mein mojood Laptop numa cheez na to kisi takhti se mumasil hai. Aur na hi ye koi jewellery box hai. (yunan se milnay wali kisi momi takhti ki side par sorakh nahi miley)

Wo Dala’el dete hain ke mujasmay mein mojood khatoon ki aankhon ka focus is jagah hai jahan Laptop ki screen ka center hota hai aur woh apni ungli se jis andaaz mein usay chhoo rahi hai. Aisa mehsoos hota hai ke wo koi touch screen cheez istemaal kar rahi hai.

Agar yeh jewellery box hota to khatoon ki nigehain satah par mojood jewellery par markooz hoti. Naka is cheez ke utthay howe hissay par jaissa ke mujasmay mein wazeh dekha ja sakta hai.
ORACLE STUTUE

Metaphysical mahireen ne Laptop ko “Oracle Of Delphi”nami tareekhi kirdaar qaraar diya hai. Jis ke zariye is qadeem daur ke pujari khuda’ khalayi makhlooq ya mustaqbil se aney walon se rabta kiya karte the.

Mohqiqeen ke nazdeek Pythias nami ek haseen larki Delphi ke mandir mein Oricle (ghaibi aawaz) ka markaz thi aur ishi ke zariye pujari khuda se rabta kiya karte the.

Metaphysical mahireen ne zor diya ke oricle Nami mashhoor Laptop bananay wali company ko ye khayaal kyun aaya.? ke wo ek aisi cheez ko apne naam ke tor ikhteyar kere jo ke science k aqa’ed se bilkul allag hai.

Un ka kehna hai ke hum ye nahi ke rahay ke bilkul aisa hi hai. Lekin hum chahtay hain ke scientists aur hamaray paish kardah dala’el par kaam karen taakay un ka mud’lal jawab diya jasakay.

Un ka ye bhi man’na hai ke. ‘qadeem daur mein mustaqbil ba’ed mein anay wali kisi technology ka time travel ke zariye istemaal ka imkaan nahi.

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …