Marnay Ke Baad Apni Skin Numaish Ke Liye Farokht

skin tattoo art

Marnay Ke Baad Apni Skin Numaish Ke Liye Farokht kerdi ek art collector ko.

Jild par Tattoo bananey to ek aam si baat hai. Aur aap ne beshtar afraad ki Skin par Tattoo dekha hoga.

Ye Tattoo (tasaveer) kisi bhi qisam ki hosakti hain. Aur ye tamam rangon mein aur har size ke ho saktay hain.

Lekin Switzerland ke ek shehri ne apni Skin par itna achey Tattoo banwaye, ke usay mehfooz rakhnay ke liye is ne apni Jild ko farokht kardiya.

Taakay marnay ke baad is ki Tattoos ko yadgar ke tor par mehfooz karliya jaye.

Tim Steiner kuch arsa qabal taq khud bhi ek Tattoo parlour ka nigran the. jahan Tattoo banaye jatay the.

Ye kaam karte aur dekhte tim ko khud bhi Tattoo ka shouq hogaya.

Nateejatan is ne apni peeth ki poori Jild par rangeen Tattoo banwa dala. Jo kisi tor art ke kisi shahkaar se kam nahi.

Tim ka ye Skin Tattoo Belgium se talluq rakhnay walay ek musawir ne banaya hai.

Taham ab tim ke khayaal mein is ke marnay ki soorat mein fun paaray jesi skin, Matti ka hissa ban jaye gi.

To is ke hal ke liye is ne apni skin ko ek German art collector ke haath 1.5 lakh euros mein farokht kardi.

Tim ne is se mo’hida kiya hai ke.

“is ke marnay ke baad is ki Jild ko jism se alehda kar ke frame karwa kar kisi art gallery mein rakh diya jaye ga.”

Tim ka kehna hai ke jab logon ko is baat ka ilm howa to unhon ne usay kisi hadd taq bhayanak khayaal kiya.

‘Aap kisi fun paaray ko dekhnay ke liye ruken, aur aap ko ilm ho ke ye koi kaghaz ka tukra nahi. Balkay ek insani Jild hai to yaqeenan aap ka khauf se bura haal hojaye ga’.

Lekin tim ke khayaal mein agar wo aisa na karta to wo art ke ek khobsorat fun paaray ko zaya kardaita.

Lekin is se qabal is mu’hiday ke tehat tim ek aur kaam ke liye majboor hai. Usay apni baqiya tamam zindagi art ki numayshon mein apni Jild ki numaish bhi karni hai.

Tim usay’ zinda canvas’ ban’nay ka naam deta hai.

Mu’hiday ki is shouq ke tehat tim saal mein 3 baar kisi barri art ki numaish mein stool par mujasmay ki terhan sakit baith jata hai. Yun is ki Tattoo zada Jild bhi fun paaron mein shumaar hoti hai.

Woh batata hai ke log pehlay pehal usay mujasma samajte hain. Lekin jab woh harkat karta hai to log bohat heran hotay hain.

Tim ka kehna hai ke ye bohat diq’at talab aur ukta dainay wala kaam hai.

‘kayi ghanton taq ek hi position par baithe rehna. Is douran log mujhe chutay bhi hain aur mere baare mein har qisam ki raye ka izhaar karte hain’.

Go ke art ke dildada tim ke liye ye sab kaafi mushkil hai. Lekin wo fun-o-musawari ki tarweej ke liye ye mushkil kaam bhi kar raha hai.tattooed skin sold art tattooed skin sold art tattooed skin sold art tattooed skin sold art

skin tattoo art

Comments

comments

Check Also

Senior Actress Ismat Iqbal Narrates Unusual Adoption Story Of Her Daughter

Ismat Iqbal is a senior Pakistani television actress who started her career as a child …