Pakistan Tourism Ke Liye Behtareen Mulk Hai
Duniya ke tamam mumalik ki Tourism ka aizaz rakhnay wali wahid khatoon ‘Cassie De Pecol’ ka kehna hai ke.
‘Pakistan duniya ke un 10 mumalik mein shaamil hai. Jahan ki sair har shakhs ko zaroor karni chahiye.’
America ki Cassie De Pecol duniya ki pehli baqaida sab se ziyada Tourism karne wali khatoon, hein. Kam umar American sayah aur duniya mein sab se taiz raftaar Tourism karne ka aizaz apne naam kar chuki hain.
3 saal qabal is ghair mamooli safar ka aaghaz karne wali Cassie ab duniya ke tamam mumalik ka safar karne ka anokha tareen aalmi record bhi haasil kar chuki hain.
Unhon ney Bartanwi akhbar The Tally Graph ko un mumalik ki fehrist faraham ki jo un ke khayal mein Tourism ke liye behtareen hain. Aur jahan ki Tourism har shakhs ko zaroor karni chahiye.
Un ki is fehrist mein Pakistan 5th number par mojood hai.
Un ka kehna tha ke.
‘Pakistan ki asia’yi Saqafat aur khaas tor par yahan ka khana be hadd shandaar hai. Aur woh dobarah bhi yahan ka safar karna chahti hain.’
Cassie ko Pakistan ke visa ke husool ke liye 4 mah ka taweel intzaar karna para tha. Aur bakol unhon ney yahan behtareen waqt guzaraa.
Expedition 196 ke naam se janey walay is safar ke aaghaz ke kuch arsa baad hi. Cassie ko aalmi idaara baraye aman ba zarea safar ney apna aizazi safeer bhi muqarrar kardiya. Jis ke baad wo duniya bhar mein aman aur mohabbat ka pegham le kar gayeen.
Un ki tamam Tourism, jahazoo ke ticket aur hotels mein rahaish waghera ko mukhtalif companies ney sponsor kiya tha.
You must be logged in to post a comment.