Selfie Ki Adat Apke Dimagh Ke Liye Nuksaan’de


Selfie ki aadat aap ki dimaghi sahet ke liye khatray ka baa’is ban sakti hai.

Selfie ki deewangi har umar ke logon ko hai. Lekin teen age groups ke liye sab se ziyada khatarnaak hai.

Mahireen ne khabardaar kiya hai ke Selfie lainay ki aadat aap ki dimaghi sahet ko mutasir kar sakti hai.

Smart phones ab hum sab ki pohanch mein hain aur tasweer banwane photo studio janey ki rivayet dam tor rahi hai. Kyun kay hamaray smart phone ka camera ab hamein ye khidmaat faraham kar raha hai.

Haliya chand barson mein Selfie lainay ka rivaaj bohat zor pakar chuka hai.

Offices, Parks, tafrehi maqamat aur parties mein ab log mobile phone se aksar apni taswerain banatay nazar atay hain. Aur Selfie le kar social media par post karna aam tafreeh ban chuki hai.

Lekin bohat kam log jantay hain ke ye aadat nafsiyati aur zehni bimariyon ka baa’is bhi ban rahi hai.

Mahireen ka kehna hai ke Selfie ke sabab log apne taq mehdood ho rahay hain. Khud hi ko khobsorat dikhaane ki taman’na aap ko har waqt ek alag hi duniya mein rakhti hai. Jo dimaghi sahet pey par bura asar daal sakti hai.

Mahir-e-nafsiyat Linda Papadopoulos ka kehna hai ke. “Selfie Culture” nojawan logon ki zehni sahet ke liye khatray ka baa’is ban sakta hai. Aur un mein depression bhi bad’tareen qisam ka paaya jata hai.

Ek interview mein inka ka kehna hai ke. ‘khanay ki aadaat mein be’tarteebi aur dimaghi kamzori ka talluq is baat se hai ke aap social media par kitna waqt guzartay hain.’

Apni zindagi ke har lamhay ki tasaveer lainay ki aadat logon ke andar ahem lamhaat ko yaad karne ki salahiyat ko khatam karkay rakh deti hai.

Mahireen ke mutabiq Selfie lainay ki aadat yadasht par asar andaaz hoti hai. Aur log apni zindagi ke ahem lamhaat ki bohat kam baatein hi yaad rakh paate hain.

Kyun kay Selfie letay howe logon ki tavaj’ja sirf ek khaas cheez ya manzar par markooz hoti hai. Jis ki wajah se un ki yadasht yad karne ki salahiyat se mahroom hojati hai

Mahireen ka kehna hai ke nojawan umar mein Selfie lainay ki aadat un ki poori shakhsiyat par asar daalti hai. Aur ye kisi bhi field mein agay nahi barh satke.

Comments

comments

Check Also

Senior Actress Ismat Iqbal Narrates Unusual Adoption Story Of Her Daughter

Ismat Iqbal is a senior Pakistani television actress who started her career as a child …