Zameen Jaisay 7 Naye Planet Dariyaft!

Zameen Jaisay 7 Naye Planet Dariyaft!

NASA ki zameen ke jaisay qabil-e-rahaish planet ki taweel talaash rang le aayi. Aur khalaa mein zameen ke jaisay 7 planet dariyaft kar liye gaye.

Scientists ke mutabiq un planets mein se 3 par pani ki mojoodgi ka imkaan hai. Jin ke baa’is yeh planet qabil rahaish ho saktay hain.

NASA ke mutabiq wo planets lag bhag zameen hi ki jasamat jaisay hain. Aur un ka ziyada tar ilaqa pathreela hai.

Yeh planet ek hi setaaray ke gird ghoom rahay hain. Goya ye zameen ke nizaam-e-shamsi jaisa naya nizaam hai.

Zameen Jaisay 7 Naye Planet Dariyaft!

Mahireen ney is nizaam ko Trappist-1 nizaam ka naam diya hai.  Yeh zameen se 40 light-years ke faaslay par mojood hai. Aur yeh zone ya ilaqa nah to itna garam hai jahan pani foran bhaap ban jaye aur nah hi itna sard hai ke har cheez munjamad hojaye. Goya ye zindagi ke liye nihayat sazgaar mahol hai.

Dariyaft ke mutaliq shaya honay walay mazmoon ke musan’nif Belgium University ke professor Michael Glenn ka kehna hai ke.

‘jis setaaray ke gird yeh planets ghoom rahay hain woh sitara kaafi chhota aur sard hai. Jis ki wajah se sirf imkaan zahir kiya ja sakta hai ke un planets par pani ho aur yeh bhi mumkin hai ke zindagi bhi mojood ho.’

Mahireen Astronomy ke mutabiq agar is mein ozone ke assaar miltay hain to yeh baat un planets par zindagi ke asaar ki janib ishara karti hai.

Doosri janib university of Cambridge ke scientist Amaury triaud nay dariyaft se mutaliq kaha ke.

‘hum nay zameen ke ilawa dosray planets par zindagi ke asaar ki khoj laganay se mutaliq ahem qadam utha liya hai.’

Un ke khayaal mein ab mazeed kisi planet ki dariyaft zurori nahi hai. Kyun kay ab sahi hadaf haasil karliya gaya hai.

Taham mahireen ka kehna hai ke agar ye planets deegar planets ki terhan na qabil rahaish nikaltay hain to ye bohat mayoos kin baat hogi. Ke Kainaat mein sirf zameen hi aisa Planet hai jo qabil rahaish hai.

Mahir Astronomy ke mutabiq un planets ka mushahida telescope ke zariye kiya ja sakta hai.

Zameen Jaisay 7 Naye Planet Dariyaft!

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …