Nokia 3310 Dobarah Muta-arif

Nokia 3310 Dobarah Muta-arifNokia 3310 Dobarah Muta-arif

Mash’hor zamana phone Nokia 3310 ko 17 saal ke baad phir muta-arif kara diya gaya.

Maazi ki terhan Nokia 3310 mein chand tabdeeliyon ke sath wohi khoobiyan rakhi gayi hain jo is mobile ki pehchan theen.

Tafseelaat ke mutabiq fun land ki company HMD ney Nokia 3310 ko 17 saal baad jadeed tabdeeliyon ke sath dobarah market mein farokht keliye paish kardiya hai.

Barcelona mein jari mobile world congress technical show ke douran mash’hoor zamana phone Nokia 3310 ki naqaab kushai kar di gayi.Nokia 3310 Dobarah Muta-arif Nokia 3310 Dobarah Muta-arif Nokia 3310 Dobarah Muta-arif

17 saal qabal Nokia 3310 pehla awaami phone tha. Aur usay be hadd pazeerai bhi mili thi. Aur logon ki barri tadaad ki Khushgawar yaden is phone se wabasta hain.

Nokia 3310 ke taqreeban 12 crore 7 laakh units 2005 taq farokht ho chuke the. Jis ke baad is phone ko Nokia company ney banana khatam kar diya tha.

Naya Nokia 3310 mukam’mal tor par feature mobile hai. Jis mein s30 operating system hai. Jo android ya ios operating system ka to muqaabla nahi karsakta. Taham is mein 2.5 G internet istemaal kar saktay hain. Jab ke mobile mein 2mp ka camera option bhi diya gaya hai.

Is naye phone ki battery timing bhi 22 ghantay talk time batayi jati hai.

Nokia 3310 teen mukhtalif colors Red, Yellow aur Blue color mein dastiyab hoga. Is phone ki taarufi qeemat 51 dollar mutay’yan ki gayi hai.

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …