Female Doctors, Male Doctors Se Behtar!

Ap jab bhi kisi bemari ka ilaaj karwane jatay hain to Female doctors ko tarjeeh dete hain ya Male doctors ko?

Agar ap samajte hain ke Male doctors aap ka ziyada behtar ilaaj kar saken ge, to aap ko foran is ghalat fehmi ko daur karne ki zaroorat hai.

America ki Harvard University mein ki jane wali ek tahaqeeq ke mutabiq. Female doctors Male doctors ki nisbat mareezon ki ziyada behtar nighdasht aur khayaal kar sakti hain.

Tahaqeeq mein dekha gaya ke Female doctors khasosan mareez buzurgon ka nah sirf behtar ilaaj karti hain balkay un ka khayaal bhi rakhti hain.

Female doctors ke zair-e-ilaaj rehne walay buzurg afraad ke marnay ki sharah kam dekhi gayi. Jabkay un ke dobarah ishi bemari ki wajah se palat kar anay ka imkaan bhi kam record kiya gaya.

Yeh tahaqeeq dar’asal shobay mein Male aur Female doctors ki salary aur sahuliyaat ka farq dekhnay ke liye ki gayi.

Tahaqeeq mein dekha gaya taraq’qi yafta mumalik mein Female doctors ki salary Male doctors ke muqablay mein kam hain.

America mein kiye jane walay tehqeeqi surway mein Male aur Female ko milnay wali sahuliyaat ka jaiza bhi liya gaya. Jin ki miqdaar barabar thi Albat’ta salary mein 50 hazaar dollar ka farq dekha gaya.

Tahaqeeq ke sarbarah dr.Ashish Jha ka kehna hai ke. ‘medical ke shoba mein Female doctors ki kam salary medical ke mayaar ko dao par laganay ke mutradif hai.’

Un ke mutabiq haliya tahaqeeq saabit karti hai ke. ‘kisi mulk ki sahet ki sahuliyaat ko behtareen bananay ke liye ziyada se ziyada Female ki shamoliyat ko yakeeni banaya jaye.’

Harvard medical school ke ek aur professor Anopam Jina neh is barey mein guftagu karte howe kaha. ‘tib’bi shoba mein Male aur Female ke darmiyan tafreeq ko khatam kiya jaye’.

Comments

comments

Check Also

Amir Family and maryam nawaz

Maryam Nawaz, chief minister of Punjab, steps in to address allegations of inappropriate behavior by Aamir’s family in the PSL.

Introduction to the Incident Maryam Nawaz controversy in PSL: The event that occurred between Mohammad …