Apko Koi Pasand Kerta Hai? Kese Pata Karen?

Apko Koi Pasand Kerta Hai? Kese Pata Karen?Pasand kerta hai koi apko? Kese Pata lagega?

Kehte hain ke insaan ki chhatti hiss usay aas pas ke mahol se waaqif kardeti hai.

Koi shakhs hamaray liye achay khayalat rakhta hai ya buray, hamari chhatti hiss hamein bta deti hai.

Ishi terhan baaz logon ko anay walay khatray ka pehlay se ilm hojata hai. Kuch log jaan letay hain ke woh jo qadam uthany ja rahay hain woh un ke liye ghalat hoga.

Yeh sab chhatti hiss ke hi kamalaat hain.

Yeh bhi kaha jata hai ke jin logon ki 5 hisey yani. “dekhnay, sun’ney, choh’ney, soonghnay aur chakhnay mein se koi ek hiss bhi kamzor hoti hai. Un ki chhatti hiss bohat ziyada mazboot hoti hai.

Yun chhatti hiss hamein kayi un cheezon se roshnaas karwa deti hai jo aam mushahiday mein nahi aatin. Lekin kuch tareeqay aisay bhi hain jin se hum samnay wali shakhsiyat ke tasurat ke baray mein jaan satke hain.

Mahireen ke mutabiq agar koi shakhs aap ko pasand karta hai to woh la’shaori tor par kuch harkaat karta hai. Agar aap ke samnay bhi koi shakhs aisi hi harkaat karta hai to jaan lijiye ke wo apko pasand kerta hai.

Qareeb khara hona:

Agar koi shakhs aap ko pasand karta hai to woh ghair mehsoos andaaz mein aap ke qareeb khara honay ki koshish kere ga. Is terhan se woh la’shaori tor par apne aur aap ke beech faaslay ko kam karne ki koshish karta hai.

Kamar seedhi rakhna:

Mahireen ke mutabiq agar koi shakhs araam’de haalat mein betha ho. Aur aap ko dekh kar woh apni kamar seedhi karle to yeh pasandeedgi ki bohat wazeh nishani hai.

Pasandeedgi ki soorat mein woh aap ki mojoodgi mein mustaqil apni kamar seedhi rakhay ga.

 

Balon ko choh’na:

yeh khawateen ki aadat hai. Ke jab woh kisi pasandeeda shakhs se millti hain to apne balon ko bar bar durust karti hain.

 

Nazar mein rakhna:

Koi shakhs agar aap ko pasand karta hai. To oski hamesha yahi koshish hogi ke woh aap ko apni nigahon ke se oojhal nah honay day. Lehaza woh apko apni nazar ki hudood mein rakhay ga.

 

Masnoi muskurahat:

pasandeeda shakhs ki mojoodgi mein insaan ki muskurahat haqeeqi hoti hai. Masnoi muskurahat mein chehra aur ankhen sapat rehtay hain jabkay insaan ke andar se anay wali muskurahat mein aankhon mein chamak hoti hai.

Yahi nahi agar koi shakhs aap ko pasand karta hai to aap ki mojoodgi mein mustaqil hi is ke chehray par muskurahat hogi.

 

Koi maza’hiya baat kehnay ke baad aap ki taraf dekhana:

Agar koi shakhs aap ko pasand karta hai. To woh koi chutkla chorney ke baad aap ki taraf zaroor dekhe ga. Ke aap par is ki baat ka kiya asar howa.

 

Ap ke diye howe kaam karna:

Agar aap ney kisi shakhs ko koi kaam kaha aur woh sab kuch chore chhar kar aap ke kaam karne baith gaya. To yeh is baat ki taraf ishara hai ke aap ka kaam is ke liye ziyada ahmiyat rakhta hai.

 

Jamai nah lena:

Jamai lena boriyat ki alamat hai. Ap ko pasand karne wala shakhs kabhi bhi aap ki mojoodgi mein jamai nahi le ga.

Kyun kay woh aap ki sohbat mein kabhi bore nahi hoga.

 

Tareef karna:

Agar koi shakhs khusoosi tor par aap ka mushahida karta hai. Aur aap ki cheezon, libaas ya aadaat ki aksar tareef karta hai to samajh jaiye ke maamla pasandeedgi ka hai.

 

Sawalaat karna:

Ap mein dilchaspi rakhnay wala shakhs aap se sawalaat karta hai. Taakay aap ke baray mein ziyada se ziyada jaan sakay. Aur is bahanay aap se baat kar sakay.

 

Baar baar naam lena:

Ap ko pasand karne wala shakhs ap ka naam baar baar pukare ga chahay is ki zaroorat na ho.

 

Baar baar phone karna:

Ap mein dilchaspi rakhnay wala shakhs kisi mamooli si baat ke liye bhi aap ko phone ya ap se baat karsaktha hai. Kyun kay yeh is ke liye baat karne ka ek bahana hoga.

 

To ab dair kis baat ki hai?

Jaldi se mushahida karna shuru kijiye. Ke aap ke gird-o-kinar mein kon aisa hai jo aap ko pasand karta hai.

Comments

comments

Check Also

Former ICC Elite Umpire Asad Rauf Passes Away

Asad Rauf, a Pakistani umpire, died dead. Asad Rauf played first-class cricket for Pakistan and …