Irfan Ullah Murawwat ki Peoples Party Mein Shamoliat Ka Imkaan Khatam

Irfan Ullah Murawwat ki Peoples Party Mein Shamoliat Ka Imkaan Khatam
Irfan Ullah Murawwat ki Peoples Party Mein Shamoliat Ka Imkaan Khatam

Noon league ke rehnuma Irfan Ullah Murawwat ki peoples party mein shamoliat ka imkaan khatam hogaya.

Baani arkaan ne Irfan Ullah Murawwat ko party mein shaamil na karne ka mahswara diya hai. Irfan Ullah Murawwat ne bhi apne bayan me elaan kiya hai ke peoples party mein shaamil nahi howa.

Sabiq saddar Asif Zardari ne apne baitiyon Bakhtawer Zardari aur Asifa Zardari ka moaq’qaf tasleem karliya hai. Aur Irfan Ullah Murawwat ke muamlay mein mazeed paish Raft na karne ka faisla kiya hai.

Asif Zardari ne party rehnumao ko is hawalay se mazeed baat karne se mana kar diya hai. Doosri janib Irfan Ullah Murawwat peoples party mein shamoliat ke bayan se hi maker gaye.

Un ka kehna hai ke. ‘mein peoples party mein shaamil hi nahi howa. Unho ne ilzaam lagaya ke senator Saeed Ghani, Asif Zardari aur un ke bachon ko aapas mein larwa rahay hain.

Is bayan ke jawab mein PPP ke senator Saeed Ghani ne kaha ke. ‘Irfan Ullah Murawwat ka ilzaam mazhaka khez hai. Party mein phoot dalwanay ka soch bhi nahi sakta. Ager koi aisa sochta hai to is ka zehni tawazun durust nahi.’

Guzashta roz mukhtalif akhbarat ki khabaron mein Irfan Ullah Murawwat ki peoples party ke shareek chairman Asif Zardari se mulaqaat. aur PPP mein shamoliyat ke hawalay khabron ki ashaat ke baad. Bakhtawer bhutto aur Asifa bhutto ki janib se is faislay par shadeed barhami ka izhaar karte howe twitter par tanqeed ka nishana banaya gaya tha.

Bakhtawer aur Asifa ke un tweets ke baad aaj Irfan Ullah Murawwat ka ye naya elaan samnay aaya hai. Jis mein unhon ne apne hawalay se media mein do roz qabal anay wali khabron ki tardeed kar di hai.

 

Comments

comments

Check Also

After being arrested late at night, anchorperson Imran Riaz was sent to jail on a cheating charge.

Friday said that Imran Riaz, an anchor discovered cheating yesterday night, will be Imran Riaz …