Lambi zindagi kesay hugai ?ayain science se pochhain

Lambi zindagi kon nhi chahta:

Lambi zindagi kesay hugai ?ayain science se pochhain:

Lambi zindagi kesay hugai ?ayain science se pochhain  ye sawal ka jawab kon nhi chahta to ayain es barey main science ka keya kehna hai. wesy to phal khana sub jantay hain her insan ki achi sehat ke liye bohat zaroori hai.Doctors ka apney patient ko
medicine treatment mukhtalif phal ki advice dena bohat lazim huata hai.Jeasa ke poori dunia janti hai ke phal bani noh insan ke leeye qudrat ka anmol teern tufa hai jis se ksi ko inkar nhi hai.

“Lambi zindagi ke leeye din main roz 10 martabah phal khayain”

Lambi zindagi kesay hugai ?ayain science se pochhain es barey main muhaqaqeen ki aik team ne kaha hai ke roz taqreeban 10 phal aur sabziyain khaney se  insan qadray lambi umer tak jee sakta hai.

Landon ke imprayel college ki es naee tehqeeq ke mutabiq phal aur sabzi ko khaney ke schedule ko easa bana ke os pe amal krnay se her saal 78 lakh afrad qabl az halakut se bacha jaa sakta hai.

Lambi zindagi kesay hugai ?ayain science se pochhain

Muhaqeqeen ne apni tehqeeq main easay phal aur sabzioun ki bhi nishandahi ki hai jin ke khaney se cencer aur amrazey qalub ke aarzoon ko kam keeya jaa sakta hai.

Tajarbay se ye pata chala hai ke kam miqdar mai phal aur sabziyain khane ke bhi fayedain hain lekin ager eski ba nis batan ziyada miqdar istamal ki jaye to es se umer main qadrey izafa keeya jaa sakta hai.

Muhaqeqeen ne phal aur sabzioun ke portion ki miqdar taqreeab 80 giraam yani aik keely aur naaspati ki miqdar ke baraber batai hai.

Es tehqeeq ke nataij taqreeban 95 mukhtaleef tehqeeqat ke data  ko jama kr ke akhaz keeye gaye hain.
Jis main taqreeban 20 lakh afrad ke khaney ki aadat ka mushaeyda keeya gaya hai.
Es tehqeeq ke mutabiq palak,shimla mirch aur gobioun jeasi haari sabziyan cencer jeasy amraaz ko kam krne main mawan sabit huti hain.

Esi trah se seab ,nashpati,salaad,khattay goodey walay phal aur letest trah ke harey patton wali sabziyain wagaera khane se amraz e qalub aur aarza qalub jesi beemarioun se bacha jasakta hai.

Es tehqeeq ko maaroof magzin General of epidomi main shaya keeya gaya hai.Jis main waqt se pehly nony wali halakut ka bhi tajzeeya keeya gaya hai.

Es tehqeeq ke mutabiq ager koi shakhs 200 giraam ki miqdar main phal aur sabziyan khata hai to waqt se pehly 15% oski mutt ka khatrah kam hu jata hai aur 800 giraam ki miqdar main khata hai to oski mutt ka qabal az waqt khatrah 31% kam hu jata hai.

jab ke cencer ke mamlay main 200 giraam ki miqdar se 4% ki kami aur 1300 giraam se 13% ka khatrah kam huta hai.

Muhaqaqeen ki baqaya aur raayephal aur sabziuon ke bare main:

Muhaqaqeen ki lekin es baat ka bhi elam nhi ke es se zeyada miqdar main phal aur sabziyan khaney ke behter nataej baramad hongay ya nhi que ke es baarey main on ke pass shawahed ki kami hai.

Es tehqeeqati team main mojood Dr.Daygfan oni ka kehna hai ke,phal aur sabziyan khaney se pata chalta hai ke jaha colistrol aur buldpresur ki satah kam huti hai to wahein es se khon ke khaliye sehat mund hutey hain.

Enka mazeed kehna hai ke es ki waja en ashyaan main paye jani wali gazayet ka neutrak hu sakta hai misaal ke tor pe en main kafi anti oxidant  paye gayey hain jo DN ko kharab nuhey se baaz rakhty hain jis se cencer ka khatrah kam hu jata hai.

Lekin almiyan ye hai ke beshter log phal aur sabziyan musalsal nhi khatey.

Muhaqeqeen ki team ke mutabiq 800 giraam bohat mofeed hai lekin beshter log eska neefs bhi nhi kha patay.

Jis ke leeye aalmi idarah WHO ne khud hidayat dey rakhi hain.

 

 

Comments

comments

Check Also

World reaches ‘tragic milestone’ of one million COVID-19 deaths so far in 2022

At his monthly meeting from Geneva, Tedros said, “We cannot say we are learning to …