Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?

Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?Kiya ap apni shadi ke liye larki ki talaash mein hain?

Shadi ke liye ap ki tarjeehat kiya hon gi?

Shakhsiyat? khubsurti? khandani pas manzar?

Kiya zahanat aap ki tarjeehat mein shaamil hai?

Agar nahi to zindagi mein ap jo kuch karna chahtay hain jaldi karlen. Kyun kay aap ki zindagi ke din kam ho chukay hain.

Ek aam Insaan shadi ke liye kisi khobsorat larki ka intikhab karta hai.Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?

Kuch is ki taleem ko dekhte hain. Kuch afraad khandani pas manzar ko bhi zehan mein rakhtay hain.

Barri umar ke afraad jo ek mustahkam position rakhtay hon aisi khatoon se shadi karna chahtay hain jo samaji tor par un ke hum palla ho.

Un ke liye khandani pas manzar ahmiyat nahi rakhta. Al-bata infiradi tor par khatoon ki hesiyat ahem hoti hai. lekin zahanat ko aksar log nazar andaaz kardete hain.

Mahireen ki ek tahqeeq ke mutabiq jo afraad zaheen aur aqalmand khawateen se shadi karte hain un ki zindagi ka dorania taweel hojata hai.Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?

Ye tahqeeq Scotland ke shehar Aberdeen ki university mein ki gayi.

Tahaqeeq ke mutabiq agar ap ki shareek hayaat zaheen hai to aap Alzheimer aur Depression jaisay amraaz se mehfooz reh satke hain. Yahi nahi ap ek taweel aur khush baash zindagi guzaar satke hain.

Alzheimer se hifazat ke liye puzzle game ya lafzi muam’mon walay khail khailnay ko faida mand qarar diya gaya tha.Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?

Mahireen ke mutabiq ek aqalmand biwi ke sath aap ko zehni tor par mukhtalif challenges ka saamna ho sakta hai. Jis se dimagh fa-aal rehta hai.

Tahqeeq ke liye aisay afraad ka mushahida kiya gaya jin ki shareek hayaat zaheen ya kund zehan theen.

Jin afraad ki biwiyan zaheen thi wo dosron se ziyada khush paye gaye. Jabkay un mein Alzheimer honay ka imkaan bohat kam tha. Kuch afraad mein jismani tor par depression ki alamaat payi gayi. Magar jab un ke dimagh ka scan kiya gaya to un ke dimagh par is ke koi asraat nahi the.Shadi Ke Liye Wife Khubsorat Honi Chahiye Ya Zaheen?

Tahqeeq mein shaamil ek professor ke mutabiq.

‘hamein ab apne samaji ravayye ko badalna hoga. hamein dimagh ko khoubsurti par tarjeeh deni hogi.’

Un ke mutabiq maali hesiyat aur khoubsurti bhi baaz auqaat woh khusi nahi day sakti jo zahanat deti hai.

Comments

comments

Check Also

Senior Actress Ismat Iqbal Narrates Unusual Adoption Story Of Her Daughter

Ismat Iqbal is a senior Pakistani television actress who started her career as a child …