Ghotki Sindh Mein Gas Ka Naya Zakheera Daryaft!

Sindh ke zila ghotki se gas ke ek barray zakheeray ke daryaft ka elaan kiya gaya hai.

Yeh elaan Marri Petroleum Company Ltd (MPCL) ki janib se guzashta roz kiya gaya.

Company ki janib se jari kardah bayan mein kaha gaya hai ke Sindh ke ilaqay ghotki mein jari gas ki talaash kamIyabi se hum kinar hoi hai.

Marri development aur lies area ke shaheen one nami Exploration wells mein qabil zikar tadaad mein gas ka zakheera dariyaft howa hai.

Ailamiye mein kaha gaya hai ke mazkorah baala kun’vey ki ibtidayi khudayi paanch January ko shuru howi thi. Aur is mein kamiyabi ke sath 1175ft ki geherai taq khudayi ki ja chuki hai. Jahan choona pathar bari mikdaar mein mojood hai.

Company ke cheif executive Ashfaq Nadim Ahmed ka kehna hai ke. ‘Is zakheeray mein mojood naye imkanaat ki mukhtalif satahon par mojoodgi ki simak data se shanakht ki gayi hai. Aur company un ke liye aindah do 2,3 saal mein drilling ka iradah rakhti hai.

Company ke mutabiq marri D and P lies area mein intahi advance technology istemaal karte howe 3D simak data murat’tab kiya gaya hai. Jis ki madad se yeh doosri kamiyabi mili hai.

MPCL ka kehna hai ke, ‘woh hydro carbon ke naye zakha’ir talaash karte rahen ge. Taakay mulk ki barhti howi tawanai ki zaroriyat ko muqami zaraye se poora kiya jasakay.’

Comments

comments

Check Also

PIA

Three special PIA flights to bring back Pakistanis stranded in Iraq ahead of Eid-ul-Azha

Pakistan International Airlines announced that “three special flights are expected to leave for Iraq later …